Ye Waqt Waqt Ki Baat Hai


Ye waqt waqt ki baat hai
Jab jag ki ronako me
Hum bi lajawab thay
Aur zindagi ki bahon mein
Mazay se mehw-e-khwab thay
Khwab me khyal tha
Khyal me jamal tha
Jamal pe kamal tha
Us lutf k mukam pe
Or mohabaton k naam pe
Wohi huwa jo hona tha
K kismaton ne sona tha
Zindagi ne bahon se mujh ko utha dya
Khud chan se wo so gai
Or mujh ko jaga dya
Ankhen khuli to shor tha
Wo manzar hi kuch or tha
Jo khwab tha azab tha
Jamal bhi wabal tha
Kamal to zwal tha
Mere sare khwab torr k
Or mujh se moonh morr k
Kis rah pe wo kho gai
Phir zindagi bhi so gai
Ab hum hain or gham hain
Or dukh bhari raat hai
Ye waqt waqt ki baat hai

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Raigani by Sohaib Mugheera Siddiqui

میری پی ایچ ڈی کہانی (پارٹ 3)

Air travel for the First Time