Ajab pagal si larki hai

Ajab pagal si larki hai

Wo mujh se jab bhi milti hai,
Mujhay her baar kehti hai,
Teray honay se meri zaat ki
takmeel hoti hai,
Usay maloom bhi hai main to
khud ik aam larka hoon,
…Magar wo mujh se kehti hai,
Nahi tum sa koi dooja,
Ajab pagal si larki hai…
Wo mujh se jab bhi milti hai,
Naya ik naam deti hai, naye
pehchaan deti hai,
Meray andar ke sab mosam bina
meray kahey hi wo hamesha jaan
laiti hai,
Meri barson purani baat bhi wo
yaad rakhti hai,
Mujhay her baar kehti hai,
teri aawaz ka jadoo mujhay
sonay nahi deta,
Ajab pagal si larki hai…
wo mujh se jab bhi milti hy,
to pehron mujh ko takti hai,
usay her rang, jo main ne ho
pehna, acha lagta hai,
usay her khuwab, jo main ne ho
dekha, sacha lagta hai,
Ajab pagal si larki hai….
wo mujh se jab bhi milti hai,
mujhay her baar kehti hai,
teri muskan janam zindagi main
rang bharti hai,
mujhay dukh ke andheron main
kabhi khonay nahi deti,
usay mujh ko mujhi ko sochnay
ki janay kia zid hai,
ho din ka koi bhi lamha, andheri
raat ka pal ho,
wo mujh ko socha karti hai,
mujhi ko yaad rakhti hai,
ajab pagal si larki hai….
wo mujh se jab bhi milti hai,
hazaron baar kehti hai,
mujhay tum se mohabbat he
nahi hai ishq hai janam,
bus ik pal main wo apna aap
mujh ko sonp deti hai,
main us pagal se larki ke liye ab
aur kia likhoon,
mujhay us ko batana hai,
ke us ki muskurahat per,
main duniya waar sakta hoon,
bus us ki eik hi Aahat per,
main jeewan haar sakta hoon,
mujhay us se mohabbat hai,
mujhay bhi ishq hai us se.. !!
Ajab pagal si larki hai…..
Ajab pagal sa main bhi hoon……

Comments

Popular posts from this blog

Raigani by Sohaib Mugheera Siddiqui

میری پی ایچ ڈی کہانی (پارٹ 3)

Neelan Bhutoo: Exploring a Hidden Gem Near Islamabad